
"Bada gumaan tha mausam ke khas hone ka,ab wahi bahana bana hai mann udas hone ka,aur badan ko khaad liya jab zakhmon ke gulaabon se tho shauq pura hua khush libaz hone ka" arz hai....
"Jab mai koi nahi tha tho kyon satate rahe
tamaam umr mera sabr aazmaate rahe
jara si baat thi dil mei so arz kar na sake
zamaane bhar ke fasaane sunaate rahe
gila ho ranz ho fariyaad ho ki ho wada
tha unka andaaz ye ki muskuraate rahe
aur tumhari baat par ab kaun jaan de dega
akele JHA bache the ab wo bhi jaate rahe"
1 comment:
ye panktiya bahut sundar hai...sach mein dil ko chu gayi
:) :) :)
Post a Comment